Friday 16 March 2012

!!آ بیل مجھے مار

"Aa bail mujhe maar" ye kahawat to ap ne suni hi hogi lekin iska amlan tajarba boht kam logn ko hua hoga kyun k zahir hai k koi bhi aqalmand admi kbhi bail ko khud ye ni kahega k aao aur mujhe maaro yani koi bhi shakhs museebat ko khud dawat ni deta. lekin "hum" jo k apne aap ko boht hi aqalmand samajhte hain turram khan banne chale the.
Hua kuch yun k is wednesday hamari class presentation thi jo k pichle do hafton se talte talte akhir kar horae thi us din hmara number tu ni tha lekin humne socha k kyun na dosro ki presentations se bhi kuch faeda hasil kya jaye. presentations us din subha 9:30 se start hona thi hamara pakka irada tha k subha jaldi ghar se nikal jayenge hum subha jaldi uth bhi gaye lekin ise aap hamari susti kahye, kahili ya nend ka khumar k hamen apna bed aur kambal nazar aya aur hum dobara sogaye aur phir jb hamari ankh khuli tu ghari dus(10) bja rae thi. jaldi jaldi tayar hokr ghar se nikle tu raste mein doston k messages aye k class mein enter mat hona teacher bohat buri tarah bezzati kar kr k nikal rae hain ab ap hamari soch ko daad dijye k humne socha wo log class mein shor kar rahe honge is lye nkal dya hoga aur hum tu shakal se hi bohat sharif lagte hain, khamoshi se ja kr beth jayenge teacher hame kuch ni kahengi. Kheir jb hum university pohche tu class k bahar bhi hamari kuch dosten bethi thi un becharyon ne bhi hamen rokne ki bohat koshish ki magr hum ne ksi ki na suni aur class mein enter hogaye hum apni danist mein teacher ne hamen ni dekha hoga aur mazey se seat pe jakr beth gaye. phir hamen mehsos hua k class mein ek dam khamoshi hogayi hai humne sr utha kr dekha tu teacher sameet pori class hamen ghor rae thi, hum moun pr ungli rakh kr teacher ki taraf dekhen aur wo hamen ghoren bs phir tu hamari wo izzat afzai hui k kya btaen humne socha k jo bachi kuchi izzat hai usko lekr class se get out hone mein hi hamari afiat hai. Bs phir kya tha hum class se bahar nikal gaye bahar hamari doston ne hame arhe hathon lya k kaha tha na k boht buri bezzati hogi hum se pehle bhi miss ne teen larkyon ko buri tarah bezzat kar k nkala tha. Ab hamen apni thori izzat tu rakhni thi islye keh dya k bs bezzat hone ka dil chah raha tha aur kabhi teacher ki is tarah se dant ni khayi na tu aaj iska bhi tajarba hogaya. aur phir bare fakhar se humne apni doston ko pakar pakar k ye dastaan sunayi wo hmari shakal dekhti rahin k kesi larki hai k apni bezzati ki kahani kitne mazey se suna rahi hai aur zara si bhi sharmindgi ni hai kyun k bhei zahir hai humne khud hi tu teacher ko ye mouqa fraham kya tha k wo hamari izzat afzai karen. Ye kahani parh kr yaqenan ap logon k khayalat bhi isse mukhtalif ni honge k apni bezzati ki kahani apni hi zabani koi kese suna sakta hai bs kya bataen hum apne ap ko aqalmand jo samajhte hain...

12 comments:

  1. nice
    class me late hovi hon par is sari izat nai hovi Allah ka shukar hai..

    ReplyDelete
    Replies
    1. sorry maryam uper wale comment me mistake hogai
      nice
      me class me late hovi hon par atni sari izat nai hovi ALLAH ka shukar hai..

      Delete
    2. hahaha...bs yr meri bhi 1st time hui. tum bhi be prepare...kbhi bhi kuch bhi hoskta hai :P ;)

      Delete
  2. very good...tumhay sabaq mil gaya hoga k agar dost kuch kahen tu sun layna chahye.... :P

    ReplyDelete
    Replies
    1. hahaha...mein tu hamesha dosto ki tu sunti hn :( bs us din na suni

      Delete
    2. chalo koi nahi beizati kabhi kabhi kabhar sehat k liye achi hoti hai... :P

      Delete
  3. hahahahahah koi bat nae ab to adat hojani chahye :p

    ReplyDelete
  4. chalo maryam tme us besti Ki wajah se ek topic mil gya blog k lye:p

    ReplyDelete
  5. hahahahhahahaha tafreehhhhhhhhhh woh pura scene meri nazro k samnay ghoom gaya..:P

    ReplyDelete
  6. HAHAHAHA...... kash mai b hoti ye dkhny k lye...
    pr meri aqal ny kam kia us time or mai class mai nhe gai :P

    ReplyDelete