Monday, 19 March 2012

Ajeeb si Duniya.....!!!


Aray bhaee..!!aap log mere blog ka mauzoo dekh kay chokiye mat...main iss duniya ki baat nahi kar rahi kay jis main,mein aur aap reh rehay hain bulkay main baat kar rahi hoon uss jagah ki jo kay kisi bhi taleemi idaaray ka buhat hi zaroori juz samjha jata hai...ji haan main baat kar rahi hoon "Cafetaria"ki.
Har university ki tarah meri university main bhi cafetaria hai..aray bhae..itni bari abaadi main ek cafetaria hai to kia hua..hai to sahi agar yeh bhi na hota to bhala hum kahan jatay..humay to 3 baje say phelay university kay bahar nikalnay ki ijazat bhi nahi hai..khair..ab main baat karti hoon apnay asal mauzoo pay..hum log rozana 8:45 pe university phonch jatay hain..jab kabhi 9 baje class nahi hoti to apnay dimagh ko dophar 3 bajay tak fresh rakhnay kay liye chai(tea)pinay ki garz say cafe chalay jatay hain..wahan us waqt larkion ki amd o raft shooru ho jati hai..thori chairs jo khali hoti hain to us pe billian barjaman hoti hain..khair..hum log chai pinay kay baad apnay departmant chalay jatay hain..phir class lenay kay baad jab pait main choohon ki race shuru hoti hai to na chatay huye bhi cafe jana parta hai aur us waqt cafe pura machli bazaar bana hua hota hai aur ek ajeeb sa manzar paish kar raha hota hai lunch lene ka socho to idhar se meri do dosten ek allu roll aur han ketchup aur raita bhi to doosri raitay main chaat masala bhi dalwana aray us rush main ek roll mil jaye to bari baat hai aur yahan farmaishi program chal rahay hotay hain..lunch lenay andar jao to kahin say awaz arahi hoti hai kay"uncle ek coke aur ek allu ka samosa de dein"phir thori dair baad yaad ata hai kay"aur han zara ketchup aur raita bhi dijay ga"..Allah Allah kar kay lunch le kar bahar ao to bethnay ki jagah dhoondo..jaisay hi khali kursi kay pass jao to udhar se awaz ati hai kay"yeh chair reserved hai"yeh jumla sun kar dil chata hai kay yah to us kursi say apna sar phor lo yah phir us larki ka..aur us waqt kursi ki sab say zayada ehmiat pata chalti hai..Allah bhala karay meri dost Tahira ka jo sab kay liye kursi dhoond kay le ati hai..wahan bethtay huye bhi buhat say manzir dekhnay ko miltay hain..kisi ki saalgira hoti hai to sab dosten apni dost ki saalgira mana rahay hotay hain..to kuch bechari larkian itnay shor main bhi kitaab khol kar parhnay ki na-kaam koshish kar rahi hoti hain..aur is tarah baaten kartay aur doosron ko observe kartay 3 bj jatay hain aur kaid khanay say bahar nikalnay ki khushi sab kay chehron per jhalaknay lagti hai
Lekin main sochti hoon kay yeh sab baaten jo main nay abhi aap sab kay gosh guzar farmai hai yahi sab baaten university khatam honay kay baad mujhe buhat yaad ayen gi aur shayad yahin saari baaten baad main meri hansi ka bhi sabab ban jaye...!!!

8 comments:

  1. Haqiqat of JUW... lolz, grt anum bht bht achaa likha hai...:)) keep it up dear..!!

    Saba Khan.

    ReplyDelete
    Replies
    1. arey asma ki dost ne bhi comment kiya ... :P or beta anum ab main apna lunch khud laungi or raita pe chat masala bhi khud laykar aungi...tumki post parh k mujhay ghera sadma puhncha hai..... ;)
      good choice of sentences :)

      Delete
    2. hahahhahhaha ok meri dost:p

      Delete
  2. hahahahahah behn durst farmaya hai apny iss blog main..:P

    ReplyDelete
  3. hahaha...bht hi acha likha hai. bilkul sahi farmaya hai aur farmaeshi program wali baat tu best hai ;)

    ReplyDelete