Old age house mein aaj bhi ek maa apni khuwahish ka pura honay ka intezaar kar rahi hai...woh aaj bhi ek viraan kamray mein tanha hai...achanak usay maazi ki baaten yaad ati hain...uski shaadi ek buhat hi khush haal gharanay main hui thi buhat hi hasi khushi wo apnay shohar kay sath zindagi basar kar rahi thi...shaadi kay kuch mahino baad ALLAH Taa'Alah nay usay beta atta kar kay uski jholi ko khushion say bhar diya..us kay angaan main har taraf khushion ka raaj ho gaya...
Un dono ko aisa laga kay unhe zindagi ki sari khushi mil gyi hai...unho nay apnay betay ko palkon pe betha kay rakha aur uski har khuwahish ko pura kia...wo jis waqt jo bhi farmaish karta wo maa baap usay pura kartay...jab woh bara hua to usay shehar kay sab say achay school main admission dilwaya...us kay waldeen nay uski har khuwahish ko pura kiya..waqt guzarta gaya aur unka beta bara ho gaya..halaat badaltay gaye aur us kay waldeen boorhay ho gaye..
Jab usnay jawaani ki dehleez pe kadam rakha to uska poora dehaan apnay career pe tha….woh aksar apnay waldeen ki na-farmaani karnay laga tha…chunkay us kay waldden puranay khayalat kay thay to who apnay waldeen ko zara zara si baat per jhirak deta..ek din achanak us kay walid ka inteqal ho gaya aur uski waalda akele ho gyin..ek to uski waalda ko apnay shohar kay chalay janay ka bhi sadma tha aur doosra umer ka bhi takaza tha..wo zara zara si cheez kay liye zid karnay lagtin aur who ghussay ki halat main apni maa ko jhirak deta aur ghar chor kar chala jata aur uski maa akele roti reh jati…kyun kay zamana buhat tezi say tarakki kar raha tha to who har waqt behtar say behtar zindagi guzarnay kay baray main sochta rehta..ek din who apni maa ko bahar ghoomanay kay bahanay old age house le gaya aur unko bola kay main kuch dino main akar apko yahan say le jaunga uski maa apnay betay ki khushi kay liye beghair kuch kahay wahan ruk gayi aur apnay betay kay wapis anay ka intezaar karnay lagi..lekin aaj kafi arsa guzar janay kay bawajood uska beta palat kar wapis nahi aya aur na hi usnay apni maa ki koi khair khabar li..ab uski maa ki bas ek yahi khuwahish hai kay uska beta akar usay apnay sath le jaye..wahi beta jis ki wo har khuwahish ko waqt say phelay hi poora kar deti thi aur aaj wahi beta apni maa say be-neaaz ho kar apni hi duniya main magan hai
Quran Shareef main bar bar Waldeen ka ehtaram karnay ko kaha gaya hai..
Nabi Kareem Sallalahu Alaihiwasalam ka irshaad hai:
“Zaleel hua who shakhs jis nay apnay waldeen ko burhapay ki
Halat main paya aur janat main dakhil na ho saka”
Irshaad e Nabvi Sallalhu Alaihiwasalam hai:
“Allah nay tum pe waldeen ki na-farmani haram qarar di hai”
Mundarja bala ahadees say hum per yeh baat wazah ho jati hai kay waldeen ki farmabardari karna kitna zaroori hai aur waldeen ki na-farmani ka kitna bara azaab hai..humara mashra science ki duniya main to buhat tarakki kar raha hai lekin waldeen ki izat o ehtaraam din ba din khatam hoti ja rahi hai
Aur humay Surah Furqan main jo Allah Taa’Alah nay farmaya hai usay nahi bhoolna chaiye kay:
“Hum nay insan ko waldeen ki shukar guzari ka hukm
Diya hai”
touchyyy.... i love my parentx... :'( patanaeee q kertey hain esayyy loug....!!
ReplyDeletehan wo log yeh nhi sochtay k aaj jo wo apnay parents k sth aisa kr rhe hain kal ko unki aulaad b un k sth aisa kr skti hy...
Deletezbrdst.....keep it up...:)
ReplyDeletethnx:)
Deletegood job... :)
ReplyDeletethnkkoo:)
Deletegood work anum
ReplyDeletethnxx..
Deletejab bhi faarigh waqt milay apni maa k paas ja k beth jaya kero qk maa k sath guzra hua waqt qyamat men nijaat ka baayis banjayega..
ReplyDeleteheart touchng story !
very good Anam, u knw wht hmare daou ka yehi almiya hy.... jo maa baaap hmare liye kia kch nhi krty hm unhe smbhal nhi paatey.... jbke hmari zindagi ka har sukoon unhi k dam se hy...... Khuda PAk tamam bachun ko apne maa baap ka farmanbardar bnaye Aameeen... Keeo it up Anam..... :)
ReplyDeletethnx alot:))
Deletevery well written anam khan =)
ReplyDeletethnx alot ma'am:))
Deleteawesome anum
ReplyDeletenaliaq hai wo aulad jo apni jannat ko dard dyti hai
thnx yara:)
Deletebht zabardast....ALLAH hm sb k maa baap ka saya hm par qaym rakhe aur hame unki khidmat karne ko taufeq ata kare (AMEEN)
ReplyDeletereally touchy blog..:) Allah tala humhara shumar fermaberda oullad main krain..
ReplyDelete