Monday 12 March 2012

Larkion ko bojh samjhnay ki wajah.....???

Guzishta saal yaani 2011October kay mahinay main ek dil dehlaanay wala manzar sab kay samnay aya..ek shohar nay apni biwi aur ek sasur nay apni bahu ko be-dardi se maar dia..jab wajah samnay ayi to sab pe gham o ghussay ki mili juli kaifiat taari ho gyi...un zalimo nay usay sirf is liye maar dia kyun kay woh ek bachi ko janam denay wali thi...jo bachi abhi is duniya main ayi hi nhi thi usay maar dia..usay is liye maar diya kyun kay wo larki thi agar larka hota to us kay anay kay liye dher sari tayarian hoti kyun kay wo bara ho kar bojh bannay kay bajaye unka sahara banta..aisa kyun hota hai larkion ko bojh samjha jata hai..??
Hamara mashra parha likha mashra hai lekin is kay bawajood baaz aukaat aisay wakeyaat ronooma ho jatay hain kay insaan dung reh jata hai...aaj bhi buhat say gharano main larkio ko bojh samjha jata hai kyun kay un logo ka yeh khayal hai kay larkian to bari ho kar apnay ghar chali jayen gi aur larkay parh likh kar unka sahara banay gay aur unki zarooriat e zindagi ko poora karen gay..is liye aksar larkion ko paida honay say pehle hi maar dia jata hai..itna parhnay likhnay kay bawajood bhi zamana-e-jahiliat ko apnaye huye hain..
Yah phir aksar gharano main waldeen apna bojh utarnay kay liye larkion ki kum umer main shaadi kar detay hain chahay baad main us larki ko kitni hi mushkilat ka samna kyun na karna parey...jab kay larkian to ALLAH ki rehmat hoti hain..larkion kay baghair ghar sunsaan hota hai...un logo ko larkon aur larkion ko barabar kay hukook denay chaiyen aur is baat ko sochna chaiye kay agay chal kar larkon ki tarah larkian bhi unka sahara ban sakti hain...!!!

5 comments:

  1. hm parhey likhey jahil hain, aur dosri baat ye k ab larkiyan hi apne parents ka sahara banti hain, larkey to bs APNI hi famly k liye sahara bantey hain

    ReplyDelete
  2. lalchi maa baap he yeh harkatein karte hain...chaan been kiye baghair shadyan kar dayte hain or baad main pashtate hain....

    ReplyDelete
    Replies
    1. han ya to wo apni beti k achay future k lyenbeghair chaan been kye paisay wale ghar me shadi kr dete hain

      Delete
  3. i hav no words ! lekin jo bi ho shadi me itni jald bazi bhi nahi krni chaye dono fariqain ko thora sa tym dena chaye samjhne k lye ta k pta lg sake k wo dono families ik dosre k sath chal bi sakti hain ya nahi or dil ka haal to srf ALLAh ko malom hota hai honi ko nahi taal sakta hai ! lekin ese waqiat se ibrat zaroor hasil hojati hai

    ReplyDelete