Sunday 11 March 2012

think positive

Kehte hain k talib ilmon ko pass hone k liye mehnat karna parti hai.Ye lo suno zara..ye to srasar urai hui koi baat lagti hai.Mera manna to ye ha k jo talib ilm fail hone mein nakaam ho jatey hain humarey asatazah karaam unhe pass qarar de detey hain. Meri hi misal lijiye, main khud ko ek nakam insaan manti hun..Ab aap sochtey hon gey kaisey to wo aisey k har baar barey jee jaan se fail hone k liye mehnat karti hun magar bad qismati k har bar mayusi ka samna hota ha aur har bar pass hone ka bojh mujhe apne kamzor kandhon pe uthana parta ha. Ab aap khud hi sochiye k pass hone mein mehnat hoti ha ya fail hone mein.Nakami to fail hone mein hoti ha, humare barey barey doctor,  engineer, teacher aur adeeb sub ne har kaam kiya magar bataiye kiya unhon ne kabhi fail hone ki koshish ki???nahi na, to bhae ye sabit hua k asal mehnat to fail hone mein hoti ha tbhi to ye sare is azeem karnamey mein nakaam hue hain.To becharey  un talib ilmon ko bura bhala kyun kaha jata ha jo intehai mahnat kar k itne sarey talib ilmon k darmiyan fail hone ka aizaz hasil karte hain, kuch alag kar dekhane k junoon mein intehai lagan k sath har bar fail hote hain. Ab bajaye aise talib ilmon ki hosla afzai karne k log inhen bura bhala kehte hain. Gharz ye k jo log kehte hain k pass hone k liye ziada mehnat karna hoti ha to ye baat is tarha ghalat sabit hoti ha.
Mera mad'aa bas yahi ha k jo talba fail hone mein nakaam ho jate hain woh kamyab qarar de diye jate hain to bhala nakaam logon ko kis baat ki shabashi di jaye, hosla afzai aur shabashi k haqdar to sirf humare wo mouziz talba hote hain jo k bari mehnat se fail hone mein kamyab hote hain. Ab agar in ko is kari mehnat k badley bhi sirf tanz aur taney sehna pare to srasar ziyadti hogi. Ye ek aur khobi humare mouziz nakaam talba ki samney aai k woh masoom to barey hi azeem hote hain jo bina kisi madad k ye azeem karnama sar anjam dete hain. Ab agar meri nahi manna to khud hi faisla kijiye..Aaj tk kitne humare asataza ne fail hone ki baqaida tarbiyat o taleem di ha, kisi ne nahi na bal k talba ko pass aur kamyab karne k liye humare asataza karaam sar dhar ki bazi laga dete hain. Mujh na cheez ka bas yehi kehna ha k munsifana faisla kijye k mehnat kaun karta ha aur kamyab kehlane ka haqdar kis ko hona chahiye, jo bina tarbiyat k kari mehnat kar k fail hone ka farizah sar anjaam dete hain ya woh log jo har kisi se rehnumai hasil kar k bari hi aasani se ho kar har ek ki aankh ka tara bantey hain..

7 comments:

  1. wah bhyae...zaburdast....tum un students ki hosla afzayi karhi ho jo parhtay he nahi or agar yeh blog parh liya tu Allah he hafiz hai unka..... :P :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. @harum: yaad nai tmhe think outside the box lol:p

      Delete
    2. hahaha....phr theek hai

      Delete
  2. hahaha awsum yar.. waqai mazay dar hai..

    ReplyDelete