Thursday 29 March 2012

Rain Over Me .......

The rain comes with a brighten effects but does it fills the brightness in heart or lives.Everyday of human life comes up with the loads of work .The hectic life's doesn't give time to people to explore the natural beauty to see the blessings of Allah which is granted to them .The hot atmosphere making their temper hot ,as the temperature touches the highest level of hotness every men started behaving like the temperature is only affecting them.But in this daily hectic life a soothing effect comes up in a form of water from the clouds which we called Rain.The sound of flow of rain touches the heart and start washing every layer of hotness.This is the gift from the Allah which is pleasing everyone with its cool breeze and the rain lovers raise their hands to touch and feel the drops of water.Everyone trying to get mixed with the colours of atmosphere .The laziness in the heart getting vanished.The roar and dazzling sound of droplets made people desperate to feel free and enjoy every moment of rain.Sadness and emptiness in the souls turns with the colours of rainbow,stressed faces bloomed like flowers and they become happier that they never before.
                Rain makes me feel like i am a bird and ready to fly.It gives me freedom to run  from limits and restrictions.By wetting the palm,my heart fills with the strange joy , every drop touches my face reduces the pain and turns into smile.
            The happiness comes after a long sorrow ,the same thing happens in the rain ,the damages happens when rain  excessive but the soothing effect of happiness and relaxation which develops by the rain cannot be replaced by any other feeling.

Tuesday 27 March 2012

Bechari Awam

 Ab tu na jan mehfooz na maal na hi izzat abro aur karobar bhi mehfooz thikana ni rha. ek khof o dehshat ka raj hai js ka ji chahta hai ata hai aur karwae kr k etminan se chala jata hai ksi baat ka koi khof hi ni hai na koi rok to hai aur na hi koi qanoni amal dari. bhatta khori, daketi, chori, lot mar, aghwa, qabza, bheek mangne wale hr tarah k mafia sr garam hain. Aur in sb ka shikar masoom, beqasor, pur aman awam hain.
Waziron mushiron k ilaj malje, hajj umre, bullet proof garhyon, ger mulki dorey sb awam ki jabe se kye jate hain. taxon ko bharmar bhi awam k zimme hai lekin bechari awam sb kuch de kr bhi ger mehfoz hai koi target killing ho, khudkash hamle, dhamake ya dron hamle sb ka shikar bechari awam hi banti hai, syasi partyon k darmian tasadum ho ya ksi syasi karkun ka qatal azab bechari awam per hi nazil hota hai. yahan tk k zalzala zadgan aur selaab zadgan ki madad aur bahali bhi isi bechari awam k kandhon per hai. police ki bhatta khori k bawajod badamni, traffic jam k doran luteron ki yalgar k bad bhi agar awam  ko kuch sukoon ka sans mayassar ajaye tu phir zakhera andoz, syasi lisani jamaten aur mehngae rahi sahi qasar pori kar deti hain.
18 crore awam ka ye hujom jise hukomat aur syasatdan qoum kehte hain aur dawedar hain k itni tadad k wo himayat yafta hain, tawwunyafta hain kya dya hai unhone awam ko aur kya ayenda de payenge. unhen awam yaad ati hai tu election k waqt ya ger mulki yalghar k waqt. ye waqt awam ya qoum k uttehad ki zarorat ki talqen ka hai. kya hoga is awam ka? kya srf dar, khouf, bebasi aur lachargi ki zindagi hi awam ka muqadar hai!!

Monday 26 March 2012

Ghar kab aogi....???

Yeeaaahhhhhhh..!!shukar ALLAHMDULLILAH light agyi...chun kay garmian achuki hain to ab aksar o bishtar har gali kuchay say apko yeh jumla sunnay ko milay ga...bachay hon yah burhay har kisi kay mouh say yahi sunnay ko milta hai aur un kay chehray say aisa lagta hai kay unhay pata nahi duniya ki kon si anmol cheez hath lag gyi ho....chu kyun kay garmian achuki hain aur humesha ki tarah humari mulk ki awaam ko garmion kay sath sath laodshedding ka tohfa bhi har saal milta hai

Loadshedding ek aisa masla hai kay jo din ba din shiddat ekhteyar kiye ja raha hai aur jis ka hal na hi abhi tak nikla hai aur na hi ayenda saalon me niklata hua dikhayi deta hai...jesay jesay garmion kay din kareeb atay jatay hain logon ki bechaini aur pareshani barhti hui dikhai deti hai...Karachi jesay baray shehar ka itna bura haal hai Gaun aur Dehaat ka to ALLAH hi hafiz hai...

Aur phir garmion main chooron ki bhi eid ho jati hai kyun kay raat kay waqt jab loadshedding hoti hai to aksar gharon ki auraten aur larken ghar kay bahar mehfil jama kar beth jatay hain itnay main choor jo kay faqeer ki awaz main sadaen laga raha hota hai mauka dekhtay hi un kay ghar main dhawa bol deta hai aur becharay log hath maltay reh jatay hain

Har saal hamaray siyasat daan har saal yahi kehtay nazar atay hain kay falan saal yeh masla hal ho jayega ga lekin unka wo saal kab ayega yeh to ALLAH hi behtar janta hai...is loadshedding kay maslay ki wajah say na sirf hamari awaam ka nuksaan ho raha hai balkay is maslay ki wajah say hamaray mulk ki maishiat ka bhi buhat zayada nuksaan ho raha hai..dekha jaye to is maslay main humaray siyasat daan say zayada KESC kay intezamia ki marzi chalti hai kuch din phele hi ki baat hai ek tv channel pe humaray prime minister ki taraf say slide chali kay kal say loadshedding nahi hogi..uss kay thori dair baad hi KESC kay intezamia ki taraf say yeh slide chali kay kal say loadshedding mamool kay mutabiq hogi..yeh slide parh kar thori hansi bhi ayi aur hairat bhi hui kay humaray mulk main kisi siyasat daan ki baat ka bhi koi mole nahi jis ki jo marzi hoti hai wo wahi karta hai..behrhaal agar yahi halaat rahay to humaray mulk kay halaat aur bhi zayada kharab ho jayen gay aur phir har koi yahi kehta nazar ayega kay"Ghar kab Aogi"....???