Monday 9 April 2012

Ek kadam dosti ki taraf……!!!!


Jab say India aur Pakistan bana hai tab say hi in dono mumalik ka darmian buhat say ikhtelafaat chal aur rahe hain jo aaj tak hal nahi ho sakay aur ayenda bhi hal hotay dikhayi nahi detay…iss kay ilawa in dono mumalik  kay darmiyan cold war bhi kafi arsay say jaari hai jo abhi tak khatam nahi hui………
Sadar Zardari jo kay baroz itwar 8 April 2012 ko apnay wafd kay humrah ek roza niji dauray  kay liye apnay wafd kay humrah Dehli phonchay..iss say phelay bhi Pakistani kay Sador India ka daura kar chukay hain lekin koi musbat nataij samnay nahi asakay..khair Sadar Zardari aur India kay  prime minister Man Mohan Singh nay 2008 kay Mumbai attcaks kay sath sath Kashmir aur deegar dehshadgardi kay masail pe bhi baat hui….is kay ilawa Sadar Zardari nay Indian Prime Minister kay  Zoharanay main bhi shikat ki..is maukay per People's Party kay chairman Bilawal Bhutto bhi maujood thay……Dehli main kuch dair kayaam kay baad Sadar Zardari aur unka wafd Ajmer Sharif bhi Sufi Buzurg Mohiuddin Chisti ki dargha pe hazri denay gaye wahan pe unho nay Pakistan ki salamti kay liye duaen bhi ki aur nawafil bhi ada ki…is kay ilawa Sadar Zardari nay 10 million dollars ka nazrana denay ka bhi elaan kia…buhat achi baat hai kay Sadar Zardari nay itni darya dilli ka muzhaira kia lekin unhe yeh nazranay ka elaan karnay say phelay ek baar apnay mulk ki awaam kay baray main bhi sochna chaiye tha jo kay mehngai aur ghurbat ki wajah say mar rahi hai…khair iss dauray kay mutaliq India k Prime Minister Man Mohan Singh ka kehna hai kay is dauray say hum log mutmaeen hain aur Pakistan aur India kay darmian achay taluqkaat paida honay chaiyen…iss kay ilawa iss dauray main visa ki asaani kay mutaliq bhi baat cheet hui jis say logon kay liye anay janay main bhi asaani paida ho sakey…Sadar Zardari nay bhi Prime Minister Man Mohan Singh ko bhi Pakistan anay ki dawat j okay unho nay kubool karli…
Ab dekhna yeh hai kay wo kab Pakistan atay hain..aur India aur Pakistan kay darmian honay wali mulakaten kitnay musbat nataej samnay lati hain aur dono mulkon ki awaam kay liye kitna behtar sabit hoti hai..khair yeh to waqt hi btaye ga……!!!


2 comments:

  1. han yaar jahil insaan hai...10 million dollars day diye....or khud mangta phirta hai

    ReplyDelete
  2. han agr itne paisay apnay mulk ka logo ko deta to shyd isay thori bht duaen mil jatin........

    ReplyDelete