Monday 27 February 2012

Yaadgaar Lamhaat ........!!!!

Har ek ki zindagi main koi na koi yaadgaar lamhaat hotay hai jaisay aksar insan ki zindagi main kuch aise lamhaat atay hain jo wo kabhi nahi bhool sakta aur who uski zindagi kay yadgaar lamhaat ban jatay hain meri zindagi main bhi kuch aisay lamhaat aye hain kay jisay main kabhi nahi bhoola sakti….
Hua yun kay 2007 main 12 Rabi ul awwal ko mere taya nay mjh say kaha kay wo,unki bewi yani meri taayi aur phoopo Umrah karnay jayen gay...chun kay mera passport bhi bana hua tha is liye main nay bhi aisay hi bol diya kay main bhi chaloon gi ap logon kay sath mujhe us waqt bilkul bhi andaaza nahi tha k Allah Taa'Alah meri us baat ko such kar dikhaen gay..jab main nay apnay abbu say iss baat ka zikar kia to unho nay bola kay han zaroor jao..us waqt mera bhai buhat chota tha is lye meri ammi ka jana thora mushkil tha is liye main nay apnay abbu say bhi sath chalnay kay liye kaha....kuch din baad hum logo ka janay ka intezaam ho gaya..meri to khushi ka koi thikana hi nahi tha..kyun kay main nay kabhi bhi yeh nahi socha tha kay mujhe bhi wo jagah dekhna naseeb hogi jahan per buhat hi khush naseeb log jatay hain...15 july 2007 ka ticket confirm hua...main buhat zayada pur josh thi aur wahan janay kay liye din ginnay lagi..aur akhir kaar woh din agaya jis din ka mjhe intezaar tha...15 july 2007 ko shaam 6 bje PIA say humari rawangi thi...hum log mukarar waqt pay airport phonch gaye lekin airport phonchnay kay baad pata chala kay flight 6 bje ki jagah ab 8 bje rawaana ho gi...hum log launch main ja kar beth gaye..us kay baad hum logo nay maghrib ki namaz bhi airport pe hi ada ki..8 bje hum log Jeddah kay liye rawaana huye aur jahaaz main hi Mekaat kay makaam per Umrah karnay ki neeyat ki aur raat 12 bje tak Jeddah phonch gaye
Wahan say phir ba-zarya bus Makkah 2 bje tak Makkah phonchay hotel aur samaan kamray main rakh kar Haram Shareef chalay gaye...wahan phonch kar apni ankhon per yakeen nahi araha tha...itna rooh parwar manzar tha kay usay lafzon main bayaan karna buhat mushkil hai wahan qadam rakhtay hi itna sukoon mila aur aisa laga kay zindagi main jitnay bhi maslay hain woh sab khtam ho gaye hain...hum logo nay Haram Shareef kay gird tawaaf kia aur us kay baad Safa aur Marwa kay beech Saae ki...agar main zayada chal loon to meri tangon main buhat dard shooru ho jata hai aur Safa aur Marwa kay darmiyan ka rasta buhat taweel hai mujhe darr bhi lag raha tha kay kahin dard na shooru ho jaye lekin ALLAH ka shukar hai kay mujhe bilkul bhi dard nahi hua..us kay baad hum logo nay Fajr ki namaz ada ki...7 bje tak hum log wapis hotel gaye thori dair aaraam kiya phr Zohr ki namaz kay liye Haram Shareef chale gye...Makkah main hum logo nay phle 3 din kayaam kia phir 7 din hum logo nay Madina main guzara wahan pe Mukhtalif Makamaat ki ziyaarat ki...wahan ek hafta guzarnay kay baad hum log wapis Makkah agaye aur wahan mazeed 3 din guzarnay kay baad jab wapis anay kay liye hum log Jeddah airport phonchay wahan mujhe ek baat ka buhat dukh hua kay wahan Pakistanio ki bilkul bhi izat ki nigah say nahi dekha jata airport kay afsaraun nay sirf Pakistani honay ki wajah se buhat maslay kiye bil akhir tamam maslay hal karnay kay baad hum log 29 july 2007 ko shaam 6 bje wapis Karachi agaye Makkah aur Madina main guzara hua har ek lamha meray liye yadgaar hai jisay main zindagi bhar nahi bhool sakti..main Allah Taa'Alah ka jitna bhi shukar ada karoon utna kum hai kyun kay us nay mujhe itni kum umr main apnay ghar ka deedaar karaya...Allah yeh din dekhna sab ko naseeb karey Ameen...!!!!

10 comments: