Thursday, 23 February 2012

kyun k zindagi bohat mukhtasir hai.....

Ksi ne kaha hai k "Dunyia ke adhe masael hal hojayen agar log ek dosre ki baten karne k bajaye ek dosre se bat karen." lekin kya karen k hamare mashre ka almya yhi rha hai k aam tor par mil beth kr amne samne bat kar k apas k masael hal karne aur galat fehmyan dor karne k bajaye peeth peche ye kam bare zoq o shoq se sr anjam dete hain aur phir isse narazgyan barhti hain. baat rishte daron ki ho ya doston ki ya phir miya biwi, ki nok jhok barh jaye tu apas k talluqat mutasir hote hain. dil mein ek dosre k lye bugz, keena, hasado nafrat rakh kar rishto se la talluqi baratna rishto mein doryan barhane k mutradif hai in doryon aur faslon se kuch hasil ni hota balke insaan khud akela pan mehsos karne lagta hai. 
yun tu dono taraf k logon ko ye zeb ni deta k wo peeth peche aik dosre ki burayi karen kyun k ye geebat k zamre mein ajata hai lekin agar koi ap k sath aesa rawayya rakhta hai tu us ki dagar pr chalne k bajaye sulah mein pehl karni chahye, apne gusse pr qabo rakhna chahye, apni zaban se koi aesi baat kehne se gurez karen jo dosre ka dil dukhane ka sabab bane kyun k sakht lehja aur zaban se nikle hue lafz kbhi wapis ni ate. apne qareebi rishto mein, doston mein, class fellows mein galat fehmyon ko tol de kr dosron ko baten banane ka mouqa fraham ni krna chahye aur sb se ehem bat apni galtyon ko tasleem karlena chahye isse koi chota ni hojata ya izzate mein kami ni ajati balke dosre k samne apki izzat aur barh jati hai. 
Apne khuloos aur mohabbat se in faslon ko samet len kyun k ye zindagi bohat mukhtasir hai is mein larae jhagron aur narazgyon ki koi gunjaesh ni. khud bhi khush rahen aur dosron ko bhi iski targeeb den. 
Allah hum sb ko apas mein behtreen talluqat qaym rakhne ki taufeeq ata kare. (Ameen)

16 comments:

  1. hmm!! agr sab aesay hi sochn or iss soch pe amal karin tou apas ki taluqat kitnay achay hoo jain naa!! lakin afsos hum sochty tou boht acha hain bss amal karnay main kamzori ajati hai. lakin boht acha likha hai, bss thora sa or bara bhi kiya ja sakta tha.. lakin khir yeh abhi bhi boht boht acha hai mashaAllah..:)

    ReplyDelete
  2. thank u
    bs yr umeed pe dunya qayam hai

    ReplyDelete
  3. Accha likha hai Maryam...
    Magar kabhi kabhi hum loag buhat si baaton ko anaa ka masla bana layte hain aur maslay hal krna nahi cahatay..

    ReplyDelete
  4. Ameen..thought provoking =)

    ReplyDelete
  5. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  6. thanx marwa yhi tu zindagi bht mukhtasr hai...ise acha guzar lo ya bura its upto u

    ReplyDelete
  7. hmmm.......umeed pe duniya qaim hai...acha likha hai bus example ki kami hai... :P ;)

    ReplyDelete
  8. good hurum.. kash tumhara ye writeup kuch logon ki soch badal de..

    ReplyDelete
  9. kaash k hum waqai is write up ko sirf parh k n comment kar k bhool jane k bajaye us pe amal b karen aameen

    ReplyDelete