Tuesday, 10 April 2012

YEH HAI PAKISTAN

IQBAL TERE DEES KA KIYA HAAL SUNAO

BE BAQI O HAQ GOI SE GHABRATA HAI MOMIN


MAKARI O FAREBI PER ITRATA HAI MOMIN 

JIS RIZQ SE PARWAZ MEIN KOTAHI KA DAAR HO
US RIZQ KO BARE SHOAQ SE AB KHATA HAI MOMIN

KIRDAR KA GUFTAR KA AAMAL KA MOMIN
QAIL NAI AISE KISI JANJAL KA MOMIN

SARHAD KA MOMIN HAI TOU KOI PUNJAB KA MOMIN
DHOONDHE SE NAI MILTA HAI QURAAN KA MOMIN


YEH HAAL HAI PAKISTAN KA, JIS MULK KO HUM NE MUSALMANO K LIYE HASIL KIYA THA WAHAN AB MUSALMAN APNE MUSALMAN BHAI KO MAAR RAHA HAI, JAHAN AB EK MUSALMAN BHAI KISI DOSREY MUSALMAN BAHI KI MADAD NAHI KARTA YA KARNE SE DARTA HAI. JAHAN AB BHAICHARGI KHATM HO CHUKI HA AUR HAR KOI EK DOSREY K KHOON KA PIYASA HAI. JAHAN MUSALMAN AB FIRQON MEIN BANT CHUKE HAIN. JAHAN SACH BOLNEY WALA TO BOHAT KAM HI NAZAR AATA HAI PAR JHOOT KI UTNI HI TAQATWAR AUR MAZBOOT HAKOMAT HAI. JAHAN HARAM KO HAAL KAR K KAMAYA AUR JAMA KIYA JA RAHA HAI. JAHAN HAR TARHA K JUNNAH AUR MAZALIM TO HOTEY HAIN  PAR INSAAF K LIYE DAR DAR THOKAREN KHANI PARTI HAIN, PHIR BHI INSAAF NAHI MILTA, JAHAN AAZADI TO HASIL HAI PAR SOCH AB BHI QAID HAI. JAHAN SAB SE SASTI INSAN KI JAAN HAI.YEH HAI MERA PAKISTAN PYARA PYARA PAKISTAN

1 comment:

  1. acha likha hai per para k baad poem ka baqi hissa hai ya wo alag shaiyr hai?

    ReplyDelete