Monday 6 February 2012

Aurton per Tashadud.....




                                        Ajj kal hum ek tarakki yafta dunya main rehtay hain lekin iss kay bawajood humaray mulk Pakistan main kuch aisay wakeyat ronooma ho jatay hain jo humaray puray mashray kay liye shurmindigi ka sabab bantay hain jis main aurton per tashadud buhat zayada aam hai.Aurton per tashadud ki buhat si wajoohaat hain lekin sab say eham wajah taleem ki kami hai ilm hasil karna har insan kay liye zaroori hai aur jab yahi ilm insan main nahi hota to insan buhat se ghalat kaam karta hai kyun kay us k pass itni aqal o shaoor nahi hota aur wo bina kuch sochay samjhay aurat ko tashadud ka nishana banata hai aur apnay is amal ko wo ghalat bhi nahi samjhta aur yah sab kar kay buhat acha mehsoos karta hai aur jab yahin sari baaten woh apnay doston ko batata hai to wo log bhi apni mardangi dikhanay kay liye aurton per tashadud karta hai aur is tarah yah amal barhta jata hai aur is tarah mashray main buraiyan janam leti hain..Ajj kal akhbar aksar khbar ati hai kay ek larkay ne larki per tezaab phenk diya wo bhi sirf is liye kay us larki nay us se shadi karnay say inkar kar diya sirf itni si baat kay liye us larki ki puri zindagi kharab ho jati hai yah phir humaray mulk kay ghareeb aur un parh tapkay larkion ko acha nahi samjhtay aur wo ghurbat say bachnay kay liye larkion ko paida hota hi maar daltay hain yah phir unki kum umer main kisi zayada umer kay aadmi say shaadi kar detay hain kyun kay larki ki us waqt sahi say tarbiat nahi ho pati aur us kay pass itna aqal o shaoor nahi hota to woh jab apnay susral jati hai to woh log us per dabao daaltay hain aur jab larki unki umeedon per khaari nahi utarti to ghar main jhagray shuru ho jatay hain aur iss tarah us larki ki puri zindagi kharab ho jati hai..Humari hukoomat ko chaiye kay woh aisay idaaray kaim karen jo aurton per tashadud kay rok thaam kay liye ho aur mardon kay zulm kay khelaaf awaz utha kar aurton ko unka haq de ta kay woh apni baki ki zindagi araam aur sukoon kay sath guzar saken..

18 comments:

  1. yar NGO's hyn is silsile me itna kaam to kerhi hyn anum or konse idare ki bt kerhi ho ? asma

    ReplyDelete
    Replies
    1. asma ???Idarey hain tu per unki sarparsti karne walay log sahi nahi hain tu aise idaraon ka hona ya na hona baraber hai.....

      Delete
  2. yahh datx ryte... nyc work.. :-) iskii betterment k liye pehla step hai education and awareness..!!

    ReplyDelete
  3. weldo0ne wo0rk u ev d0one anam

    ReplyDelete
  4. bht acha likha hy.... keep it up

    ReplyDelete