Thursday, 9 February 2012


BAHESIAT QOUM! HUM KAHAN KHARHE HAIN

Pakistan ko aalam-e-wajood mein aye nisf sadi se zyada ho chuka hai. Ek nasal wo thi jiski jad-o-jahad aur kawish se ye azad khitta hamein khuda ne ata kya, Dosri nasal ne iski jarhon ko khokhla karne mein koi kasar nahi chorhi, Teesri nasal k lye unke baron ne aesi misalen qayam ki hain k wo kisi lehaz se bhi ek azaad mulk k bashaor shehri nhi ban sake aur hamare buzurg jo is saare kye dhare k zimmedar hain wo bare maze se nojawano ko har kharabi ka zimmedar thehra kar khud bari-u-zimma hojate hain.
Bahesiat qoum hmara koi kirdar koi mayar nhi bana adna shehri se lekr VIP hazrat sb hasbe istataat “chori” jese makroh fail mein masroof hain, chahe wo faraiz ki chori hai, chahe wasael ki chori hai. Har koi tan man dhan se is mulk ko lotne mein masroof hai aur khuda ki zaat ne is mulk ko kis qadar nawaza hai k sath saala loot khasoot k bawjood ye qayam o dayam hai.
Bazaar mein nikal jayen koi pochne wala nahi dokandar kharab maal mehenge damo beich kr khush hote hain, fruit wala daghi aur kharab phal apke shopping bag mein dalta hai, qasae gosht k naam pr cheechrhe gosht mein chupa kar ap ki ankhon mein dhol jhonkta hai, sabun shampoo wagera par man pasand rate ki chit chispa kar k zayed raqam batori jaati hai, aye din ksi na ksi cheez ki chor bazari k zarye qillat paida kr k rate asmaano pr charha dye jate hain.
“Khuandagi” k naam par kai policyan murattab ki gayin kitni imdad hasil ki gayi magar taleemi mayar wohi kharabi se dochar hai. Taleem jesa hassas shoba nat naye tajurbat ki zad mein hai chousath(64) saal  bad bhi qoum apni rahen mutayyan nahi kar saki. Walden bachon k lmtehano mein sargram-e-amal hote hain sifarishen aur muthi garam karne k tareqe apnaye jate hain akhir kar bache ko doctor ya engineer bna kar dam lya jata hai phir doctor marezon ki khal utar kr aur engineer commission kha kha kr mulk ki khidmat mein masroof nazar ate hain.
Badqismati ye hai k yahan hr koi apne apne field mein kam chori aur chori mein masroof hai aur opar se seena zori k wo ise galat bhi nhi samajhta. Chand log hain jo seedhi rah par hain mulk aur qoum se mukhlis hain aese logon se na matehet khush hain na afsaran wo bechare emaandar admi bachon ko na buland mayar desakte hain na aala taleem. Galat ko galat aur sahi ko sahi samajhne ka shaor hamne pas-e-pusht dal dya hai. Koi bhi kam karwane k lye so paparh belne parte hain.
Jon jon opar jate jayen kamchori, rishwat, lot khasoot aur fraud garz hr manfi fail ka rate barhta jata hai aur aese aese luterey nazar ate hain jo mulki wasael ko harap kar k dakar bhi ni lete. Hamara hukmeran tabqa qudrati aafat k naam par berone mumalik se imdad wasoool karta hai magar uska ek feesad hissa bhi gareeb awam ki falah aur unki abadkari mein sarf hone k bjaeye hukmerano k bank accounts ki zeenat ban jata hai.
Lafz “Pakistan” ko haqeqat bnane wala apni qable rashk sehat se hath dho betha magar aj job hi barsare iqtidar ata hai chahe wo chote se chota ohdedar hi kyu na ho sehat dolat izzat hr shobe mein din dogni raat chogni taraqqi karta nazar ata hai. ”saqoot-e-dhaka” se agar sabaq sekha jata tu aj hum sobae ta’assub  mein griftar na hote. Koi Punjabi, balochi, sindhi ya pathan na kehlwata balke bache khuche Pakistan ka shehri hona aur kehlwana ba’ise fakhar samajhta.
Aaj Pakistan ka har bashaor aur mohibb-e-watan shehri pareshan hai aur faryadi hai k khudaya is mulk ko barhi mushkilo aur qurbanyo k bad hasil kya gya tha adha tu pehle hi ganwa chuke hain baqya adhe kit u khud hifazat kr aur hamen seedhi rah dikha. Ise hamdard, mohibb-e-watan, pur azam qayadat de. Is k logo ko zaati mafad se bala qoumi soch de. Kharji aur androni dushmano se mahfouz rakh. (Ameen)

9 comments: