Monday 2 April 2012

Daagh tou chala jaye ga yeh khana phir nahi milay ga........!!!

Aap log soch rahay hon gay kay main nay ghalat jumla likha hai lekin kia karun main blog hi kuch iss tarah ka likh rahi hoon kay yeh jumla mujhay ghalat likna para..khair aap logon ko thora buhat andaaza bhi ho gaya hoga kay mere iss jumlay ka matlab kia hai..??

Yeh jumla aksar shaadi biyah ki takreeb pe bilkul durust bethta hai...aap kahin bhi shaadi mein chalay jayen wahan maujood logon ko shaadi ki takreeb main dilchuspi kay bajaye khana khulnay ka intezar hota hai aur bhala ho bhi kyun na..lifafay main rakam jo de rahe hotay hain aur isi rakam ko pura karnay kay chakar main woh kisi doosray ka khayal karnay kay bajaye apni plate ko K2 ki pahari bana letay hain chahay un kay libas pe dhaag hi kyun na lag jaye wo log yeh sochtay hain kay daagh to chala jaye ga lekin pata nahi aisa khana baad main kab naseeb ho..?? unhe to bus khanay se matlab hota hai..aksar log yeh bhi sochtay hain k bhae pata nahi baad main khana milay yah na milay iss liye bhi wo log aas pass ki fikar kiye baghair apni platon ko saja letay hain chahay baad main khana zaaya hi kyun na ho..baaz dafa itna sara khana dekh kar wese hi tabiyat bhar jati hai yah kuch pasand nahi ata to usi tarah plate main chor dia jata hai adh khai botian aur deegar lawazmaat maiz per wapis usi tarah phoncha dia jata hai...

Lekin kia hum log isi khanay ka ziya kartay huye kabhi un logo kay baray main sochtay hain jo ek waqt ki roti kay liye bhi tarastay hain....???kabhi un bachon kay baray main sochtay hain jo ghurbat honay kay bais kachray main say chun chun kay khanay per majboor hotay hain yah phir logo kay ghar me ja ja kar mangtay huye dikayi detay hain...??log aisi harkat ko mayoob bhi nahi samjhtay..unki yahi harkat ek to doosray logo pe ghalat tasoor daal rahay hotay hain aur doosra wo ALLAH ki nazar main bhi buray ban rahe hotay hain

HazratAbdullah Bin Zubair(R.A) apnay walid Hazrat zubair Bin awaam(R.A) say riwayat kartay hain,unhon nay farmaya "phir iss din tum say nematon kay baray main zaroor sawal hoga".Hazrat Zubair(R.A) nay daryaft farmaya"hum say kaun si nematon kay baray main sawaal hoga..humay to sirf paani aur khajoor hi mauisar hain...Nabi Salala o alalahiwasalam nay farmaya"agaha raho!! yeh sawal zaroor hoga".

So shaadi biyah kay maukay per hum sab ko yeh sochna chaiye kay hum sab say bhi in nematon kay baray main sawal zaroor hoga iss liye jitna ho sakay humay iss adat ko khatam karna chaiye ta kay akhrat main hum apnay RAB kay samnay jawab de ho saken...!!

2 comments:

  1. han waqae log shadi wagera mein apni plates mein itna bhar lete hain k iske bd inhe kbhi ni milega aur phir khaya ni jata unse aur sb khana zaya hota hai itna bura lagta hai..ksi qism ka koi ehsas hi ni hota

    ReplyDelete
  2. wah bhaye...mujahy acha laga...roz sohrab goth wale pul k nichay kachra uthany walo ko sotay dekhti hun...kuch ajeeb hota hai yaar...wo khatay kahan se hogay jub sotay aisi jaga pe hain

    ReplyDelete