Friday, 23 March 2012

Self reliance Is The Need Of The Nation

To have faith in god and in ourselves and to carefully use the sources we have, its all about self reliance and self reliance is the need of the nation. if we make it habit to be self reliant then the whole nation can go ahead and prosper and join the group of developed countries. if we don't act according to this then the whole nation will gradually be destroyed or it seems in our society nowadays destruction is knocking at the door of our country.
In Holy book Almighty addressed!
Enjoy all things whole and pure and work righteous (holy Quran chapter 23)
This should serve as a guiding principle for us in every field of our life its only through self reliance that we can prosper in the whole fields of our country.At the time of independence we had a lot of problems we faced bad crises we misused our skills our sources which brought us in current position today every  new born baby is  came in this world lifted with a loan of fifteen thousand we don't have rely on our sources we still in a under developing list. The America and the Russia have conquered moon through their struggle and self reliance.why shouldn't we? the Japanese have developed their country on the basis of self  dependence on their population , utilizing their manual labour and resources. but today we are only thinking of serving ourselves. we are not working fro our country we are not trying to make itself reliant.
Islam provides guidance to its followers in all walks of life, material as well as spiritual. Allah is Razzaq therefore we should rely on him only and continue our struggle for better progress and future but all this thing how can possible? it is possible if we trust in ALLAH and use our resources in a right way honestly courageously and Earnestly. in this respect a slogan of one of our politicians APNA UGAO APNA KHAO is a good example of self reliance. it is a fact that a child of today is the future of his country and nation Inshallah , the day will come when our country will be included in the list of developed countries for it we need self reliance on us and on our resources boldly..

Thursday, 22 March 2012

Hats off to You......... :)

In a family when you lose a person which is the only strength and backbone for you then it is difficult to continue the life without them.The pain of losing the most loveable and caring persons leaves an individual broken and shattered .This lost takes us to that extreme where everything ends ,hope ends,desires end and life ends.Father is the hero for every daughter in the world and mother is just like an angel who always help us.I cannot understand even cannot have that words which describes the true feelings of my friends but i can appreciate my friends who had lost their father or mother. They seems to be the greatest girls in my eyes that they are still living their lives with same courage.They are trying hard  to achieve the goals and dreams of their father or mother ( hats off to you girls ). A poem dedicated to every father from all the daughters.....

When I was a baby,
you would hold me in your arms.
I felt the love and tenderness,
keeping me safe from harm.
I would look up into your eyes,
and all the love I would see.
How did I get so lucky,
you were the dad chosen for me.
There is something special
about a father's love.
Seems it was sent to me
from someplace up above.
Our love is everlasting,
I just wanted you to know.
That you’re my special hero
and I wanted to tell you so.

Wednesday, 21 March 2012

Insha Allah Green Shirts Will Win


First of all I just want to quote few verses for my Pakistani brothers who all are representing 16 crore Pakistani in this “Asia Cup” and our pride in the “International Cricket.”

                                                 Tum surkh rooh ho gaye
                                                        Tum jo karo hausla        
                                                            Jeetoge tum sada
                                                                hai yeh apni dua
                                                                  Per tum jeeto ya haaro
Suno! 
                 Humein tumse pyaar hai    Humein tumse pyaar hai
"our Trophy Insha Allah"
Green Shirts (GSs), but it does not mean that we are not looking towards all 11 of you for the title of “CHAMPIONS OF ASIA CUP.”
It is true that because of the match between Pakistan and India I and definitely all Pakistani cricket fans were very much disappointed. One definite reason was the team playing against Pakistan, it was India guys!! our arch-rival. That loss was too much heart breaking but today when Bangladesh won the match against Sri Lanka and kicked out India from the Asia Cup this news healed our wounds. How much I am happy today I can’t put it into words. Although we lost match against India but this is enough for me that they are now out of Asia Cup.
"Pakistan and Bangladesh"

11 Green Pakistani, whatever your strategy will be on 22nd march, 2012 against Bangladesh either “BOOM BOOM” or “TUK TUK” we all are with you. INSHA ALLAH you will win this Asia Cup. Keep confidence on your selves and victory will be yours Insha Allah.
I wish my Pakistani brothers “BEST OF LUCK” for the final match and pray to ALLAH for their success.








Tuesday, 20 March 2012

uffffff!! Today iz my "Beizati Day.".:P

aik dafa kahin parha tha k insaan ki zindagi main do terha k din hoty hain aik woh jo iss k Haq main hota hai or aik woh jo iss k Haq main nahi hota..:P jab yeh baat parhi thi, uss waqt tou yeh sir k upper sy guzar gai thi., lakin ajj waqi main " lag pata gaya " k woh din jo Haq main nahi hota woh kesa hota hai..:(
                       bad luck ka aaghaz ajj subha sy hi hoo gaya tha, jb mam marvi ka paper hath main ayya.. jis ko dekh k rona bhi nahi arha tha balkay zor zor sy hansi arhi thi., zindagi main shayd hi koi paper aesa diya ho main ny jis main mujhy kuch bhi nahi atta tha.3 MCQs k illawa..:P, matlab insan agaye pechay sy bhi pochy bhi tou kitnaaaaa pochy?? main ny paper ki nazuk condition ko dekhty hoye apnay Emaan ko bachany ka faisla kiya or bagir cheeting k tuky mar mar k paper kiya, jo Allah k fazal sy sabbbbbbbbbbbb Ghalat nikaly..:P main 4 number hasil kr k Emaan ki salamti k sath Fail hoo gai ( MashaAllah..:D), uss sy zada sharm naak mam marvi ka muskura muskura k dekhna tha wesay..:( mai jo presentation main full marks ly k bohtttt khush  thi ajj wapis zameen pe agai Allhmdulilah..:P ..  khir janab abhi orrrrrr bhi bura waqt dekhna tha inn gunnahgar ankho ko..:P
                    lehaza attay hain Reporting ki class main..... mam yasmen ki class main tamsha tou hota hi hai koi na koi lakin ajj walay tamashy ka shikar app ki yeh behn hoo gain..:( .. Mam k sath class , specially MA wali "bajiyoo" ny hasb e mamool bdtamizi karna shuru ki, jis k natijay main Mam k saber ka pemana labreez ho gaya,or woh class sy naraz hoo k janay lagain , sath main zor zor sy dant bhi rahi thn, mam ny josh e jazbat main aik boht hi laa jawab jumla keh diya , unhoo ny kaha k " Adhee class tou shadi shuda hai phr bhi app loogo ko  koi tamizzzzz nahi hai.." bss iss jumla ny mujh pe jadu ka sa asar kiya, or main aik dm hans pariiiii.. bss janab phr aik awaz ai Bohtttt Hansi arhi hai apko??? or meri sitti gumm.. aj tak kabhi kisi teacher sy aesi live beizzati ka ittefaq nahi hua tha.. toobaaaa.. uss k bd class main jo record laga hai mujh ghareeb ka woh tou double tooba..:(.. Hansi meri zindagi ka boht bara masla hai, intehai  bewaqat aati hai, or jab atti hai tou atti hi chali  jati hai..:(, mera waqi koi irada nahi tha mam ki class main aesi bey tukki harkat ka lakin bss.....!!
                  Mam areeba ka period khir sy guzarany ki khoub dauain kin jo shukr qabool bhi hoo gain..:)  lakin abhi izzat afazai main kuch kasar baqi thi jo k ghr aa kar puri hoi, ammi sy zaber10 jhaar ki surat main, or chun k yeh jhaar behn muhterma ki chalaki ki waja sy pari the lehaza uss k bd behn sy phadda aik alag kahani hai..:P 
        finally iss waqt raat k 1 baj chuky hain or main yeh soch rahi hun k ajj mery sath kia kia ho gaya..:P  khir janab abb ijazat dn iss dua k sath k kal ka din mery liye beizzati day nahi hoo ga InshaAllah..:D 
            

Monday, 19 March 2012

Ajeeb si Duniya.....!!!


Aray bhaee..!!aap log mere blog ka mauzoo dekh kay chokiye mat...main iss duniya ki baat nahi kar rahi kay jis main,mein aur aap reh rehay hain bulkay main baat kar rahi hoon uss jagah ki jo kay kisi bhi taleemi idaaray ka buhat hi zaroori juz samjha jata hai...ji haan main baat kar rahi hoon "Cafetaria"ki.
Har university ki tarah meri university main bhi cafetaria hai..aray bhae..itni bari abaadi main ek cafetaria hai to kia hua..hai to sahi agar yeh bhi na hota to bhala hum kahan jatay..humay to 3 baje say phelay university kay bahar nikalnay ki ijazat bhi nahi hai..khair..ab main baat karti hoon apnay asal mauzoo pay..hum log rozana 8:45 pe university phonch jatay hain..jab kabhi 9 baje class nahi hoti to apnay dimagh ko dophar 3 bajay tak fresh rakhnay kay liye chai(tea)pinay ki garz say cafe chalay jatay hain..wahan us waqt larkion ki amd o raft shooru ho jati hai..thori chairs jo khali hoti hain to us pe billian barjaman hoti hain..khair..hum log chai pinay kay baad apnay departmant chalay jatay hain..phir class lenay kay baad jab pait main choohon ki race shuru hoti hai to na chatay huye bhi cafe jana parta hai aur us waqt cafe pura machli bazaar bana hua hota hai aur ek ajeeb sa manzar paish kar raha hota hai lunch lene ka socho to idhar se meri do dosten ek allu roll aur han ketchup aur raita bhi to doosri raitay main chaat masala bhi dalwana aray us rush main ek roll mil jaye to bari baat hai aur yahan farmaishi program chal rahay hotay hain..lunch lenay andar jao to kahin say awaz arahi hoti hai kay"uncle ek coke aur ek allu ka samosa de dein"phir thori dair baad yaad ata hai kay"aur han zara ketchup aur raita bhi dijay ga"..Allah Allah kar kay lunch le kar bahar ao to bethnay ki jagah dhoondo..jaisay hi khali kursi kay pass jao to udhar se awaz ati hai kay"yeh chair reserved hai"yeh jumla sun kar dil chata hai kay yah to us kursi say apna sar phor lo yah phir us larki ka..aur us waqt kursi ki sab say zayada ehmiat pata chalti hai..Allah bhala karay meri dost Tahira ka jo sab kay liye kursi dhoond kay le ati hai..wahan bethtay huye bhi buhat say manzir dekhnay ko miltay hain..kisi ki saalgira hoti hai to sab dosten apni dost ki saalgira mana rahay hotay hain..to kuch bechari larkian itnay shor main bhi kitaab khol kar parhnay ki na-kaam koshish kar rahi hoti hain..aur is tarah baaten kartay aur doosron ko observe kartay 3 bj jatay hain aur kaid khanay say bahar nikalnay ki khushi sab kay chehron per jhalaknay lagti hai
Lekin main sochti hoon kay yeh sab baaten jo main nay abhi aap sab kay gosh guzar farmai hai yahi sab baaten university khatam honay kay baad mujhe buhat yaad ayen gi aur shayad yahin saari baaten baad main meri hansi ka bhi sabab ban jaye...!!!

Friday, 16 March 2012

!!آ بیل مجھے مار

"Aa bail mujhe maar" ye kahawat to ap ne suni hi hogi lekin iska amlan tajarba boht kam logn ko hua hoga kyun k zahir hai k koi bhi aqalmand admi kbhi bail ko khud ye ni kahega k aao aur mujhe maaro yani koi bhi shakhs museebat ko khud dawat ni deta. lekin "hum" jo k apne aap ko boht hi aqalmand samajhte hain turram khan banne chale the.
Hua kuch yun k is wednesday hamari class presentation thi jo k pichle do hafton se talte talte akhir kar horae thi us din hmara number tu ni tha lekin humne socha k kyun na dosro ki presentations se bhi kuch faeda hasil kya jaye. presentations us din subha 9:30 se start hona thi hamara pakka irada tha k subha jaldi ghar se nikal jayenge hum subha jaldi uth bhi gaye lekin ise aap hamari susti kahye, kahili ya nend ka khumar k hamen apna bed aur kambal nazar aya aur hum dobara sogaye aur phir jb hamari ankh khuli tu ghari dus(10) bja rae thi. jaldi jaldi tayar hokr ghar se nikle tu raste mein doston k messages aye k class mein enter mat hona teacher bohat buri tarah bezzati kar kr k nikal rae hain ab ap hamari soch ko daad dijye k humne socha wo log class mein shor kar rahe honge is lye nkal dya hoga aur hum tu shakal se hi bohat sharif lagte hain, khamoshi se ja kr beth jayenge teacher hame kuch ni kahengi. Kheir jb hum university pohche tu class k bahar bhi hamari kuch dosten bethi thi un becharyon ne bhi hamen rokne ki bohat koshish ki magr hum ne ksi ki na suni aur class mein enter hogaye hum apni danist mein teacher ne hamen ni dekha hoga aur mazey se seat pe jakr beth gaye. phir hamen mehsos hua k class mein ek dam khamoshi hogayi hai humne sr utha kr dekha tu teacher sameet pori class hamen ghor rae thi, hum moun pr ungli rakh kr teacher ki taraf dekhen aur wo hamen ghoren bs phir tu hamari wo izzat afzai hui k kya btaen humne socha k jo bachi kuchi izzat hai usko lekr class se get out hone mein hi hamari afiat hai. Bs phir kya tha hum class se bahar nikal gaye bahar hamari doston ne hame arhe hathon lya k kaha tha na k boht buri bezzati hogi hum se pehle bhi miss ne teen larkyon ko buri tarah bezzat kar k nkala tha. Ab hamen apni thori izzat tu rakhni thi islye keh dya k bs bezzat hone ka dil chah raha tha aur kabhi teacher ki is tarah se dant ni khayi na tu aaj iska bhi tajarba hogaya. aur phir bare fakhar se humne apni doston ko pakar pakar k ye dastaan sunayi wo hmari shakal dekhti rahin k kesi larki hai k apni bezzati ki kahani kitne mazey se suna rahi hai aur zara si bhi sharmindgi ni hai kyun k bhei zahir hai humne khud hi tu teacher ko ye mouqa fraham kya tha k wo hamari izzat afzai karen. Ye kahani parh kr yaqenan ap logon k khayalat bhi isse mukhtalif ni honge k apni bezzati ki kahani apni hi zabani koi kese suna sakta hai bs kya bataen hum apne ap ko aqalmand jo samajhte hain...

My Father's first Wife... ;)



I hate to see that my father loves his 1st wife more than me .Probably,she came in his life before my birth.25 years, is a long period and for bonding of love these 25 years are more than enough.Father never go outside without her.Undoubtedly ,she always accompanied him in the bad or critical times just like a wife.
    She runs hundred of miles without creating any faults but now it has crossed 20 years,an automobile is a machine which has no life time gurantee.I always ask my father to change the car but he refused by saying that : it takes you to the every corner of the karachi,its speed is faster than the new models of the various cars ,after several years its engine still working properly,so why should i change it? my answer was that i don't like this model of Toyota and now its should be place in museum then he only gives me an annoying look .
             This car renovates several times with 5 colours ,1st was white,2nd was green,third was antique fuchsia, again white and the last is Grey.Cars door jammed and for closing it i need my full energy otherwise it remain opened.Father takes her to the D.r for treatment (workshop), mechanic(D.r)suggest my father to change the car and buy new one but he gave him the same answer.
I'm waiting for the day when all the car doors and roof apart one by one :)