Friday 2 March 2012

interesting and unique festivals of the world

"Zindagi na milegi dobara" dekh kr mujhe khayal aya k dunya mein kitne ajeebo ghareeb tehwar(festivals) manaye jate hain. mein kuch dino se apne blog mein likhne k lye topic ki talash mein thi bs phir mene socha k isi ko apna agla topic bnao aur search kar k ap logon ki maloomat mein izafa karun.
Is dunya mein hazaro quomein aur bht se mazahib ko manne wale baste hain. har mazhab aur qoum k apne apne tehwar hote hain jo k bohat josho kharosh se manaye jate hain in mein kuch is qadar ajeebo ghareeb hote hain k hr koi in mein dilchaspi leta hai.
opar jis movie ka mene zikr kya hai wo spain mein bnayi gayi hai. "Spain" mein ek town hai 'Bunol' jo k  'Tomatina' nami tehwar ki waja se bohat mashhor hai. ye mela August k akhri Wednesday ko manaya jata hai. waha k log ek dosre par us waqt tak tomatoes ki barish karte rehte hain jb tk in ka maleeda nhi ban jata yhan tak k roads par har taraf tomatoes ka maleeda bikhra nazar ata hai.
                                                    
"Italy" ka ek town 'Evera' maltoo ki jang k hawale se mashhor hai. is anokhey tehwar mein ek jang ki yad manane k lye hazaro log February mein har saal 3 din tak ek dosre par maltey barsate hain jis se saari sarhken aur gallyan malto se bhar jati hain pori dunya se bari tadad mein log is anokhi jang ko dekhne k lye atey hain.
Isi tarah 'California' (America) mein 3 din 'lehsan(garlic) mela' manaya jata hai. is tehwar mein lehsan wale khane bnaye jate hain yhan tak k ice-cream bhi lehsan se bnayi jati hai. is mein bhi bohat se log sharek hote hain.
                                               
"South Dekota" ka ek chota sa shehr 'Clark' aalu ki pedawar k hawale se America mein shohrat rakhta hai. yhan har saal 5 august ko 'youm-e-aalu' manaya jata hai. is ka aghaz 1972 mein hua tha. is roz yhan har taraf aalu hi aalu nazar ate hain. Aalu k is mele mein aalu pakane, sajane aur aalu se mujasme bhi bnaye jate hain is k ilawa aalu boil kr k pees kr uske mixture mein wrestling bhi hoti hai aur aalu ki daldal mein log ek dosre ko girane ki koshish karte hain.
                                                


"Japan" mein har saal 'aatish bazi(firework)' ka tehwar manaya jata hai. ye tehwar 400 saalon se Japan mein manaya ja rha hai. "India" k do dehat aese hain jahan mohabbat ka izhar galyan de kr kya jata hai aur is maqsad k lye galyon ka tehwar 'kajri' manaya jata hai. is ka aghaz dono dehat k rehne walo k darmyan galat fehmi ki waja se hua aur bad mein ise izhare mohabbat ki shakal dedi gayi.
"Cambodia" mein September mein do hafte ka 'roohon ka mela' hota hai. is mein log soraj nikalne se pehle khule asmaan k neche jama hokar bare bare lakri k dhol bajate hain aur un lakhon afrad ki roohon ko khush karne k lye khane sajaye jate hain jo 'polpot' k 4 saala zalmana dour mein qatal kye gaye the.
"Nigeria" mein har saal February' March mein sb se bari machli(fish) pakarne ka muqabla hota hai is muqable ko 'Argungu festival' kaha jata hai. Isi tarah dichasp races ka bhi muqabla hota hai 2006 mein "China" mein mote logon ki race hui thi jo k 150kilo wazni aurat ne jeet li thi.
"Finland" mein bhi ek anokhi race hoti hai jis mein shohar apni biwyon ko kandho pr utha kr dorte hain bari tadad mein log ise dekhne ate hain.


In sb se andaza hota hai k dunya mein kese kese log abad hain aur khushi manane k inke kitne ajeebo gharee andaz hote hain behr haal ye bohat hi dilchasp aur tafreh ka zarya hote hain.





9 comments:

  1. font size bara kro balkey change ko nhe parha jarha. :(

    ReplyDelete
  2. waqai font change kro but intresting topic maza aya prh kr good selection even informative too

    ReplyDelete
  3. goood info..maza araha tha parh k...

    ReplyDelete
  4. waqi bht hi ajeeb o gareb log hen jo khany ki chezon ko istrha zaya krty hen... wsy bht hi informative ha... :)

    ReplyDelete