Monday, 26 March 2012

Ghar kab aogi....???

Yeeaaahhhhhhh..!!shukar ALLAHMDULLILAH light agyi...chun kay garmian achuki hain to ab aksar o bishtar har gali kuchay say apko yeh jumla sunnay ko milay ga...bachay hon yah burhay har kisi kay mouh say yahi sunnay ko milta hai aur un kay chehray say aisa lagta hai kay unhay pata nahi duniya ki kon si anmol cheez hath lag gyi ho....chu kyun kay garmian achuki hain aur humesha ki tarah humari mulk ki awaam ko garmion kay sath sath laodshedding ka tohfa bhi har saal milta hai

Loadshedding ek aisa masla hai kay jo din ba din shiddat ekhteyar kiye ja raha hai aur jis ka hal na hi abhi tak nikla hai aur na hi ayenda saalon me niklata hua dikhayi deta hai...jesay jesay garmion kay din kareeb atay jatay hain logon ki bechaini aur pareshani barhti hui dikhai deti hai...Karachi jesay baray shehar ka itna bura haal hai Gaun aur Dehaat ka to ALLAH hi hafiz hai...

Aur phir garmion main chooron ki bhi eid ho jati hai kyun kay raat kay waqt jab loadshedding hoti hai to aksar gharon ki auraten aur larken ghar kay bahar mehfil jama kar beth jatay hain itnay main choor jo kay faqeer ki awaz main sadaen laga raha hota hai mauka dekhtay hi un kay ghar main dhawa bol deta hai aur becharay log hath maltay reh jatay hain

Har saal hamaray siyasat daan har saal yahi kehtay nazar atay hain kay falan saal yeh masla hal ho jayega ga lekin unka wo saal kab ayega yeh to ALLAH hi behtar janta hai...is loadshedding kay maslay ki wajah say na sirf hamari awaam ka nuksaan ho raha hai balkay is maslay ki wajah say hamaray mulk ki maishiat ka bhi buhat zayada nuksaan ho raha hai..dekha jaye to is maslay main humaray siyasat daan say zayada KESC kay intezamia ki marzi chalti hai kuch din phele hi ki baat hai ek tv channel pe humaray prime minister ki taraf say slide chali kay kal say loadshedding nahi hogi..uss kay thori dair baad hi KESC kay intezamia ki taraf say yeh slide chali kay kal say loadshedding mamool kay mutabiq hogi..yeh slide parh kar thori hansi bhi ayi aur hairat bhi hui kay humaray mulk main kisi siyasat daan ki baat ka bhi koi mole nahi jis ki jo marzi hoti hai wo wahi karta hai..behrhaal agar yahi halaat rahay to humaray mulk kay halaat aur bhi zayada kharab ho jayen gay aur phir har koi yahi kehta nazar ayega kay"Ghar kab Aogi"....???

2 comments: