Monday 13 February 2012

kaise kaise log...








kuch mangnay walon me wakai mustahiq hotay hain aur kuch zahiri tor per mustahiq nazar atay hain jo haqeeqi mustahiq hotay hain unki mada karni chaiye neez main bachon ki baat nahi karun gi kyun kay bachay na-samajh hotay hain aur unka koi kusoor nahi hota
sarak per nikal jayen agar car main hain to kisi chorahay per car khari hotay hi aam tor per koi larki ya aurat aur kabhi kabhi aadmi akar hath phela detay hain agar kisi market main hon to kisi jagah kharay
 wahi manzar nazar ata hai lekin is surat main akele khara hua mard hai to mangnay wali ahista ahista us kay kareeb hoti chali jati hain aisi surat main shareef naujawan ko aksar uchal kar peechay hotay dekha hai in mangnay walon main aksar bhari aksariat sehatmand hotin hain
ghar per ghanti baji bahir niklay to....
ek thela uthaye hue uncle goya huye kay main mazdoori kay liye aya tha mazdoori nahi mili wapis janay ka kiraya nahi hai aur ghar per bachay bhookay hon gay.ek dafa ek aadmi ghar per aya aur sath main doctor ka nuskha bhi sath mein liye hua tha mujhe us aadmi per buhat taras aya aur main nay apnay waldeen say keh kar us ka elaaj karanay ka kaha lekin jab us kay kaghzaat dekhay to jaali niklay...kuch log masjid say chanda lenay aye lekin jab un say raceed mangi to un logo nay taal matool say kam liya
ya phir aksar yeh ketay phirtay hain kay masjid main namazi zayada agaye hain unkay safon ki zaroorat hai yah phir masjid main bachay taleem hasil kartay hain un kay ikhrajaat main hisah daalye sawab kar hoga
abhi kuch din phelay mujhe apni ammi kay zarye pata chala kay humaray paruas kay ek ghar main daaka per gaya huya kuch yun kay ek buhat hi boorha aadmi un kay ghar khana mangnay aya karta tha aur ek din woh apne sath daakoo ko un kay ghar main le kar ghuss gaya aur sara samaan loot kay le gaya jab mujhe yah sab pata chala to meray zehan main yeh baat ayi kay humare mashray mein kaise kaise log hain.........!!!!

2 comments: