Monday 5 March 2012

Susta hawa daar safar..........!!!!!

Meray blog ka mauzoo buhat say logo ko ajeeb o ghareeb lag raha hoga kay safar susta bhi hay aur hawa daar bhi...to lijay main unki uljan abhi dur kiye deti hoon...main baat kar rahi hoon daur e jadeed ki ek nayi takleeq karda sawari ki jinhay hum Chinchi rikshay kay naam say jantay hain jo kay aaj kay zamanay ki susti aur hawa daar sawaari hai...
Susta is lehaaz hai kay yeh 10 rupay main araam say apko kisi bhi dur daraaz kay ilakay main phoncha deta hai...main nay pheli bar is sawaari ko Lahore main dekha tha..tab yeh mujhay buhat ajeeb o ghareeb hi lagi thi kyun kay ek aisi sawaari jis main ek motor cycle kay peechay bethnay kay liye seat lagi hoti hai aur wo motor cycle kay zarye chalta hai aur jab is per betho to aisa lagay kay peechay anay wali sawaarion ko mun chirhatay huye ja rahe hon..khair!!jab yeh sawaari Karachi main dekhi to university rozana atay jatay logon ko us main safar karta dekh kar mujhe bhi shuak hua kay main bhi is main safar karoon aur iss sawaari ka maza loon...
Ek din meri ammi sauda salf lanay bazar ja rahi thi to main un say kaha kay main bhi ap k sath chaloon gi aur ammi say Chinchi rikshay per bethnay ki farmaish zahir ki jis per ammi nay bhi haami bhar li...aur hum dono bazaar kay liye nikal paray...jab rikshay pe sawaar huye to thori dair baad usnay taiz awaaz main Punjabi ganay chala diye aur uski awaaz itni taiz thi kay mera sir chakranay laga aur ankhon kay samnay Punjab k khait main Pakistan ki Mashoor o Maroof(hahahhaha)filmi adakara Saima nachnay lagi...aisa lag raha tha kay meray kaan kay parday phat jayen gay..main dil main dua mangnay lagi kay hum log jald az jald apni manzil o maqsood per phonch jayen kyun kay agar zayada dair main us rikshay pe baithti to shayad bazaar main shopping karnay kay laiq bhi nahi rehti..ALLAH ALLAH kar kay hum log apni manzil pe phonchay is k baad mujhe aisa laga kay yeh susta aur hawa daar safar kabhi kabhi mehnga bhi par sakta hai..!!

8 comments:

  1. buhatttttttttt allaaaaaa ....love ur title.... :)maine bhi 1st time lahore main dekhi thi or safar bhi wahin kiya tha....per ganay nahi sunay thay :P

    ReplyDelete
  2. thnx:)khi walay me betho usme ganay b chltay hain=D

    ReplyDelete
  3. hahahahahaha bohtttttt boht cute blog hai yar waqai main..:)

    ReplyDelete
  4. hahaha... mazaydaar likha hai..!! :D ab tau mujhey b bethnaa hai..!! :P

    ReplyDelete